Roman Urdu - 110% + Print

Zahra Ki Ghar Mein Haaye Qayamat Ka Woh Samaan

Meit Ali Ki Rakhi Thi Lapti Thi Betiyan

Zainab Kafan Ko Thaam Ke Leati Thi Hichkiyan

Zainab Ke Paas Aake Hassan Ne Yeh Ki Fughan


Janaze Ko Uthana Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab

Utho Zainab, Karo Himmat

Karo Baba Ko Ab Rukhsat

Qayamat Ka Yeh Sadma Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab


Pedar Ki Jaan Mein Hi Betiyon Ki Jaan Hoti Hai

Judai Baap Ki Sehna Kahan Aasaan Hoti Hai

Aye Meri Ghamzada Khawar

Mujhe Maloom Hai Tum Par

Bohot Mushkil Yeh Lamha Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab


Janaza Leke Baba Ka Hamein Jaane Do Ab Ghar Se

Kahin Ro-Roke Is Gham Mein Rida Gir Jaaye Na Sar Se

Sambhalo Aye Behan Khud Ko

Tumhaare Haal Par Dekho

Mera Abbas Rota Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab


Hamain Ab Zindagi Bhar Is Yateemi Ka Hai Gham Sehna

Bohot Mushkil Se Baba Ka Ruka Hai Khoon Aye Behna

Ajab Aalam Hai Ghurbat Ka

Ban-E-Maljam Ki Zarbat Ka

Abhi Tak Zakhm Taaza Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab


Khadi Hain Fatima Zahra Jab Phir Shabbir Se Shabir Ne Ro-Rokar Kaha Bhai

Tumhi Zainab Ko Do Apne Kafan Ka Wasta Bhai

Dikha Kar Maan Ka Woh Karta

Bata Do Roz-E-Aashura

Kafan Mujhko Pana Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab


Ajab Kehraam Tha Ghar Mein Yeh Jab Bola Hai Zainab Ne

Abhi Baba Ko Jee Bhar Ke Kahan Dekha Hai Zainab Ne

Hassan Kehne Lage Roke

Kaha Jitni Dafa Tum Ne

Kafan Mein Ne Uthaya Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab


Uthaai Jis Ghari Meit Jawan Beton Ne Kaandhon Par

Bayan Ho Jaun Aur Zainab Kiase Gham Ka Woh Manzar

Yeh Dil Gham Se Na Phat Jaaye

Yahi Kehte Hue Haaye

Janaza Ghar Se Nikla Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab


پرنٹ - 110% + اردو

زہراؑ کے گھر میں ہائے قیامت کا وہ سماں